Gumsum si hun, chup chup si hun.... log kehte hai aaj khamosh kyun hun....
aahat si hai, chahat bhi hai.... na jaane dhadkan kyun tej si hai....
dooriyan bhi hai, nazdikiyan bhi hai....
kaisey kahun uljhan bhi badi hai....
khawab bhi hai, sapne bhi hai....
sach ho na ho ek dar bhi hai....
rahee to hai par raastein kathin hai.... chalna to hai par manzil bahot dur hai....
phoolon ka sej to hai par kaatein bahot hai.... saathi to hai par wo bhi bahot door hai....
manzil bhi hai, raahi bhi hai,
par yanha har mod pe sahil ko khasti ki talash bhi hai....
yanha har mod pe zindagi jine ki aass bhi hai....
par ek dar jo har pal saath bhi hai....
Zindagi ki iss kashkashm mein jaane kya ho jaye, jaane kaunsi dor kab tut jaaye....
lehron ki tarah bahe ja rhe hai, apne lafjon ko seeye ja rhe hai....
bas apne inn sapno ko bunney ke umang mein hum aage badhe ja rhe hai....
....
apne khawabon ko koshish ki udaan diye ja rhe hai..........!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment