Thursday, December 3, 2009

!....kashmkash....!

YE.. zindagi bhi ek ajeeb paheli hai,
kashmkash mein uljhi hui, jaane kaisi ye kahaani hai...

har mod simti hui hai,mehfil bhi gumnaam si hai,
kya kahun aaj to har jakhm ubhri si hai...

tej hawaaon ka saaya hai, jaane kaun fir aaj chot khaaya hai...
sapna hai tuta ya koi jhakm ubhrein hue hai...

khudha ka imtihaan lene ki bhi had ho gai hai,
uss dil ko dard deta hai jinke pass aansuon ka saaya hai...

kashmkash hai ye aisi jismein zindagi kho si gai hai,
raahon mein kaatein chubhne si lagi hai...

h@M@R@ S@ndesh !!

hum h raahi.. hamara koi sahara nhin...
zindagi ki khoj mein koi apna yaara nhin..!

yun dagar-dagar pe chot khaana nhin...
har dil ko gharonda banana nhin..!

matlbiyon ki duniya mein gum hona nhin...
khudh ko itna kamjor banana nhin..!

insaaniyat ko bhi mitana nhin...
aansuoon ko yun bahana nhin..!

kisi ko kabhi tarpaana nhin...
pyar ko kabhi jhootlana nhin..!

koi agar dil se chahe to thukraana nhin...
khushi yun mile to aajmaana nhin!!

"ye sandesh h hamara unn k liye jinki zindagi mein koi bahaana nhin..."

Zind@gi Ki CH@H@t....

Zindagi ko yun jeene ki chahat thi...
chahat ko udaan dene ki aas thi...
Bachpana mein yunhi behte chale gye...
khudh ko bhulker khawison mein jeete chale gye to kya karein....

zindagi dhondhli padti gai...
har aahat pe sach meetti gai...
kya rokti main khudh ko.....
lutt gye jab bhare mehfil mein, khudh ko sambhaalker bhi kya karein...

bahot aarzoo thi dil ki baat duniya ko batalayein..
koi saksh na mila jo iss dil ko samjh paayein...
chahat to bahot thi kisi ko apna banaane ka...
sapna adhoora reh gya aur koi apna na ban saka to kya karein...

Zindagi mein muskuraane ki chahat thi..
dil lagane ki shayad ye saza thi..
sapna jo tuta,aansun jo beh gye...
ab koi apna na raha , dil bhi tut gya to kya karein...!!!

Gumsum si hun!

Gumsum si hun, chup chup si hun.... log kehte hai aaj khamosh kyun hun....
aahat si hai, chahat bhi hai.... na jaane dhadkan kyun tej si hai....
dooriyan bhi hai, nazdikiyan bhi hai....
kaisey kahun uljhan bhi badi hai....
khawab bhi hai, sapne bhi hai....
sach ho na ho ek dar bhi hai....
rahee to hai par raastein kathin hai.... chalna to hai par manzil bahot dur hai....
phoolon ka sej to hai par kaatein bahot hai.... saathi to hai par wo bhi bahot door hai....
manzil bhi hai, raahi bhi hai,
par yanha har mod pe sahil ko khasti ki talash bhi hai....
yanha har mod pe zindagi jine ki aass bhi hai....
par ek dar jo har pal saath bhi hai....
Zindagi ki iss kashkashm mein jaane kya ho jaye, jaane kaunsi dor kab tut jaaye....
lehron ki tarah bahe ja rhe hai, apne lafjon ko seeye ja rhe hai....
bas apne inn sapno ko bunney ke umang mein hum aage badhe ja rhe hai....
....
apne khawabon ko koshish ki udaan diye ja rhe hai..........!!

HANSTI HUN HANSAATI HUN......

Hansti hun hansaati hun, har pal main muskurati hun......
.............. Roti hun rulati hun, har dil ko dehlaati hun...........!
Sapno mein rang bharkey umangey sajaati hun,
Khawabo se har din main apna mann behlaati hun.....
Shaam hote hi main ghar mein chup jaati hun,
............. .Chupke se dil ko manaker fir main khush ho jaati hun..........!
Yaadon ka gharonda sajaaker, fir gum mein dub jaati hun,
Apna naseeb samajhker fir main sab bhool jaati hun.....
Khudh ko samjhaker, mann ko behlaaker fir main khush ho jaati hun...
.............. Hansti hun hansaati hun, har pal main muskuraati hun..........!
Mere inn alfaazon ko jhooth mat samajhna..
Aye dost tumbhi hamare liye dua karna.......!
............ Hansti rahun hansaati rahun, har pal main musukuraati rahun......!!